top of page
Satyam Shivam Sundaram
Satyam Shivam Sundaram
00:00 / 01:04
Artists
Pamila Jain (Lyrics by BK Satish)
Lyrics
Satyam Shivam Sundaram Sansaar Saaram,
Abhayan-karan, dukh-haram, karuna-avtaram
Jyotirmayam, swayambhu, prakruti-studharam
Shivasmarami...Jagat-swami...nirvikaram...
Is jag se alag rehkar rooha,
Us rab se rooh-roohan karo...
Jo dhyaan tumhara rakhta hai,
Tum bhi uska kuch dhyaan karo..(2)
{ 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 }
Ho kar videh, chup-chaap waha,
Us Shiv ke neh kinara mein...
Atam panchi ko udd ne do,
Jo bandh hai tan ki taara mein...
Shiv ParamAtma ke daras-paras ka,
Saras saras ras-paan karo...
Is jag se alag rehkar rooha,
Us rab se rooh-roohan karo...(2)
{ 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 }
Karmo ke bandhan bandh jaate hai, jo jaane anjane mein...
Hai RajYog ki agni saksham, unko bhashma karane mein...
Ab dhar-daani se var paakar, nir ka par ka kalyaan karo...
Jo dhyaan tumhara rakhta hai,
Tum bhi uska kuch dhyaan karo..(2)
{ 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 }
Prabhu jinse khud milna chahe,
Un logo ki kismat kya kahiye...
Shiv Parampita ko baccho se,
Kitni hai mohabbat kya kahiye...
Guna-bhandaari se guna lekar,
Aao khud ko gunavaan karo...
Is jag se alag rehkar rooha,
Us rab se rooh-roohan karo...(2)
Satyam Shivam Sundaram Sansaar Saaram,
Abhayan-karan, dukh-haram, karuna-avtaram
Jyotirmayam, swayambhu, prakruti-studharam
Shivasmarami...Jagat-swami...nirvikaram...
bottom of page