top of page
light background -resources.jpg

मधुर धून में गाती

Madhur Dhoon Me Gaati

Madhur Dhoon Me Gaati
00:00 / 01:04

Artists

BK Ashmita & brother

Lyrics

Madhur dhoon me gaati hai Abu ki ghati, Wo dith aaj Man me hai Madhuban ki maati... Sabhi ki Zuban par yahi hai Kahani, Ghazab thi Pitashree ki wo Zindagani... Madhur dhoon me gaati hai Abu ki ghati, Wo dith aaj Man me hai Madhuban ki maati... Sabhi ki Zuban par yahi hai Kahani, Ghazab thi Pitashree ki wo zindagani... { 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 } Shrajan Shrishti ka Shiv ko sankalp aaya... Shrajan Shrishti ka Shiv ko sankalp aaya... Nirakaar ne unko Madhyam banaya, Dikhaye pralay ke unhe dhrishya saare, Nayi Shrishti ke bhi anokhe nazare (2) Suni sab ne Shrimukh se Ishwar ki Vaani, Ghadi Jag (duniya) badalne ki aayi suhani (2) Sabhi ki Zuban par yahi hai Kahani, Ghazab thi Pitashree ki wo Zindagani (2) { 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 } Gooja tha jab OM ka mantra pyara (2) Hilne laga Sindh ka prant sara Chala Shakti ne tod Mahalo ke taare, Nahi rok paaye abla kehne wale (2) Mita Jag se Maya piyenge hum paani, Karegi tabhi chotiya (bacchiya) man me thani (2) Sabhi ki Zuban par yahi hai Kahani, Ghazab thi Pitashree ki wo zindagani (2) { 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 } Fasa na saka unko Maya ka fanda, Diya tyaag tatkaal Heero ka dhandha Lutane lage pyaar ke heere moti, Jagane lage Shiv ke sang haath Jyoti (2) Wo Tap Tyag Sankalp Sewa ruhani, Naye Vishwa ki ban gayi thi nishani (2) Sabhi ki Zuban par yahi hai Kahani, Ghazab thi Pitashree ki wo Zindagani (2) { 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 } Shiv sang hue saare Guna (virtues) ko samakar (2) Farishta bane arsh (sky) par baithe jaakar Sajate hume Divya gun se wo aake, Tabhi to sabhi teri mahima hai gaati (2) Bhula na sake teri meherbani, Ghazab thi Pitashree ki wo Zindagani (2) Madhur dhoon me gaati hai Abu ki ghati, Wo dith aaj Man me hai Madhuban ki maati... Sabhi ki Zuban par yahi hai Kahani, Ghazab thi Pitashree ki wo Zindagani....(4)
music and light
bottom of page