top of page
light background -resources.jpg

झलक तुम्हारी ओ प्यारे भगवन

Jhalak Tumhari O Pyare Bhagwan

Jhalak Tumhari O Pyare Bhagwan
00:00 / 01:04

Artists

BK sister Ashmita

Lyrics

Jhalak tumhari O pyare Bhagwan, Palak me bhar ke dikha rahe hum.. Falak se hum yahi gaa rahe, Karane wala kara raha hai, Karanhaar hum kiye jaa rahe.. Jhalak tumhari O pyare Bhagwan... {x2} { 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 } Karan karavanhar tumhi ho, tumhi to karte tumhi karate Banein hain hum to nimitt keval, hum apni ungli bhal lagate Utha ke apne hathon Govardhan, humari raksha kiye ja rahe.. Karane wala kara raha hai... {repeat} { 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 } Hai prasann Prabhu ki palna se, tumhi bane ho humare paalak Wah jo hai sare jag ka maalik, hum uske pyare bane hain balak Hukumi hukum chala rha hai, hum sachhe dil se kiye ja rahe... Karane wala kara raha hai... {repeat} { 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 } Ye gyan budhhi bal sab tumhara, bas dhyan itna Humein hai dharna, Hum bhi tumhare, hai sab tumhara, ahankaar kis baat ka karna Tere hawale kashti humari, bade pyar se liye ja rahe.. Karane wala kara raha hai, Karanhaar hum kiye jaa rahe.. Jhalak tumhari O pyare Bhagwan.. (2) Palak me bhar ke dikha rahe hum.. Falak se hum yahi gaa rahe.. Karane wala kara raha hai, Karanhaar hum kiye jaa rahe Jhalak tumhari O pyare Bhagwan... ---- 𝗛𝗜𝗡𝗗𝗜 ---- झलक तुम्हारी ओ प्यारे भगवन, पलक में भरके दिखा रहे हम फ़लक से हम यही गा रहे, कराने वाला करा रहा है, करनहार हम किये जा रहे 1. करन करावन हार तुम्ही हो, तुम्ही तो करते तुम्ही कराते बने हैं हम तो निमित्त केवल, हम अपनी उंगली भल लगाते उठा के अपने हाथों गोवर्धन, हमारी रक्षा किये जा रहे कराने वाला करा रहा है... 2. है प्रसन्न प्रभु की पालना से, तुम्ही बने हो हमारे पालक वाह जो है सारे जग का मालिक, हम उसके प्यारे बने हैं बालक हुकमी हुकुम चला रहा है, हम सच्चे दिल से किये जा रहे कराने वाला करा रहा है... 3. ये ज्ञान बुद्धि बल सब तुम्हारा, बस ध्यान इतना हमें है धरना हम भी तुम्हारे, सब है तुम्हारा, अहंकार किस बात का कारण तेरे हवाले कश्ती हमारी, बड़े प्यार से लिये जा रहे... कराने वाला करा रहा है, करनहार हम किये जा रहे झलक तुम्हारी ओ प्यारे भगवन, पलक में भरके दिखा रहे हम फ़लक से हम यही गा रहे, कराने वाला करा रहा है, करनहार हम किये जा रहे झलक तुम्हारी ओ प्यारे भगवन...
music and light
bottom of page