top of page
Aaye Anubhav Kare
Aaye Anubhav Kare
00:00 / 01:04
Artists
BK Ashmita, Satish Chandra
Lyrics
Aaye Anubhav Kare...Atma-darshan kare,
Apne pancho swarupo ka chintan kare.. (2)
Aaye Anubhav kare...
Anadi roop rachkar, tan bhaan tajkar.. (2)
Paramdham chalde smritiyon se sajkar
Prabhu paas aakar, Kiran me nahaakar
Unsa bane yaadon me hum samaakar
Sneh se kalp taru ka sinchan kare
Aaye Anubhav kare...
{ 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 }
Dhare roop utaren jo sampurn paavan,
Apni vo duniya swargik suhaavan..
Dhare roop utaren jo sampurn paavan,
Apni vo duniya swargik suhaavan..
Apni dharti gagan, mand paavan pawan
Naath Tribhuvan ke hum lete the sukh saghan..
Aadi roop aankhon me abhinandan kare,
Aaye Anubhav kare, Atma-darshan kare
Apne paancho swarupo ka chintan kare
Aaye Anubhav kare...
{ 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 }
Dekhe dhwapar me mandir me pooja hui.. (2)
Pujya hum hi to the vo, na duja koi
Vo kataron me karbaddh karte naman.. (2)
Karte purn kaamna bhakt-vatsal nayan..
Kitni shraddha se vo bhakti-poojan kare..
Aaye Anubhav kare, Atma-darshan kare
Apne paancho swarupo ka chintan kare
Aaye Anubhav kare...
{ 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 }
Chalte chalte kaal chakra jo pura hua.. (2)
Sangam me apno se sangam hua..
Bhagya dhwarein khule, humko Bhagwan mile.. (2)
Lagke Prabhu ke gale, bhagya likhne lage
Brahma-vanshi Brahman Gyaan-gunjan kare,
Aaye Anubhav kare, Atma-darshan kare
Apne paancho swarupo ka chintan kare
Aaye Anubhav kare...
{ 𝔪𝔲𝔰𝔦𝔠 }
Kar tapasya videhi farishta hue.. (2)
Shakti bharte Prabhu-sewa karte hue..
Karke paavan prakriti vishwa badlenge hum.. (2)
Aap-sa Baba ban tan se niklenge hum..
Dhun hai aapke kathan pe khud ko arpan kare..
Aaye Anubhav kare, Atma-darshan kare
Apne paancho swarupon ka chintan kare
Aaye Anubhav kare, Atma-darshan kare
Apne paancho swarupon ka chintan kare
Aaye Anubhav kare... (2)
bottom of page