RajYog meditation ke liye waqt nahi mil pata. Aur Amritvela samay jaldi uth nahi pata. Kya karna chahiye? This is our email response.
Original Email Received
Om Shanti Shivani didi ji.. Mera name kumar chiranjeev hai.. Me mumbai m job krta hu film line me. Mein apki sari video ko dekhata hu mujhe bhut accha lagata hai.. Mi jb chhota tha tb se mere ghar k sare log apse jude hai..Mi v manta hu lakin bahar rahne k karan ye sb follow nahe kr pata.. Mera ek question tha. Mi apki ek video dekha jiss m apne bola hai ki jb ap jaldi so jate ho raat ko to subah apki nind apne ap khul jayegi. Lakin hmlog ka job k time ka koye thik nahe hai kavi 1 baje kavi 12 baje kavi 2 baje aata hu ghar. Es ki wajh se mi subah jaldi nahe utha pata hu.. Or na he meditation kr pata hu dhayan ekatrit nahe ho pata hai mn vhatkata rahata hai.. Plz suggest me..
Our Email Response
To: Kumar Chran
From: Prajapita BrahmaKumari Ishwariya Vidhwa Vidhyalay (Godfatherly University)
Dear Divine Brother
Good morning
Aapka email mila aur padha. Aapne bataya ki RajYog abhyas ke liye subah jaldi nahi jaag sakte. Yeh theek hai..
Vaastav me sabhi ke liye samay alag alag hai. Karma bhi karna hai aur Yog bhi. Yog ko simple bhasha me meitation kaha jata hai . Vastav me Yog ka yatharth arth hai ''Parampita ParamAtma ko buddhi se Yaad karna...''
Iske liye kaha jata hai ki subah amritvela ka samay shresth hai. Jaroor lekin jo subah jaag nahi sakte, ve bhi din me kabhi bhi shanti me baithe aur apne ko atma samjhe (soul conscious hokar baithe), to acchi anubhuti kar sakte hai..
Shrimat kehti hai pavitra bano. Keh pratham hai. Pavitrata se hi sukh aur shanti ka janam hota hai. Gyan bhi buddhi me tabhi baithe jab buddhi pavitra ho.
Yeh commentaries jo di hai, usee aap Yog abhyas kare. + Swamaan abhyas bhi jaroor kare..
Yahi samay hai. Phir ParamAtma sristi par nahi aate. Abhi aap Baap se sab kuch praapt kar sakte hai. Return me sirf 5 vikaar ka daan karo.
Bahut resources available hai jise use karke aap RajYog sikh sakte ho. Yaha ''guided commentaries'' di gyi hai -> https://www.brahma-kumaris.com/rajyoga-meditation-music-commentary
Pehle aapko jaana chahiye ki Yog arthat rajyoga meditation kya hai -> What is Raja YOg-> https://www.brahma-kumaris.com/rajyoga-meditation
Swamaan abhyas bhi bahut upygogi hai. Jaroor yeh kare -> swamaan -> http://bit.ly/Swamaan
Raasta dikhana humara kartavya tha. Ispar chalna aur apni jeevan banana - yeh aapka kartavya hai. Hum sada aapke liye hai. Kuch bhi chahiye, to email kare..
OR
Search on BK Google (search engine): www.bkgoogle.com
Get and use our Mobile apps -> http://bit.ly/BkAndroidApps
Accha
namaste
In Godly World Service
00