Bhagwan koun hai? Why does God cannot be seen with this eyes? Kaise mane ki Gyan ki Murli Nirakar Shiv baba bolte hai? How we know that incorporeal Shiv baba speaks Murli, and not Brahma?
Question asked via Email (Hinglish):
Om Shanti.Mujhe ye puchna hai ki bhagwaan agar hain th vh sabko kyun nhi dikhte.Mujhe bhi nhi dikhte th phir aap log kaise keh sakte hain ki ye sab baatein Shiv Baba kehta hai.
Our Response (answer to email)
From: Prajapita Brahma Kumari Ishwariya Vishwa Vidhyalay
To: Priyanka (and everyone reading)
Ishwar, God, Bhagwan kise kehte hai? Is duniya ke creator ko hum bhagwan kehte hai. God is the creator.
To yeh buddhi samajhti hai, ki jab itni badi aur vishal creation (nature) hai, to creator bhi jaroor hoga.. Unki bahut mahima hai. Ankh se kaise dekh sakte hai?? aisi to bahut chije hai jo is ankho se nahi dikhti.
ParamAtma (supreme soul) ek jyoti bindu hai. Prakash ka ek source hai, unse hi um buddhi mili hai. Isliye unko Ishwar (the ancestor of human souls - va Param Purush kehte hai). Purush ka arth hai 'Atma'. Param Atma.
Duniya me bahut kuch hota hai jo science explain NAHI kar sakti. Prayer karne se kitni samasya ka samadhan ho jata hai, aadii bahut proof hai ki koi shakti hai jisne is duniya ko Racha hai, Paalna karti hai aur last me Parivartan karti hai.
Jab hum Yog sikhte hai, jise Gyan sahit ''RajYog'' kaha jata hai (learn more on page: RajYog in Hindi), to Yog ke dauran hume sharir ke pare ki sthiti ki anubhuti hoti hai, to kisiko atmic stage me hone ki anubhuti, to kisi ko koi divya dhristi se kuch dikhta hai aur kisi ko anand me bahut unchi prapti hoti hai. Yeh sab anubhutiya aur praptiya bahut atmao ko hui hai jo aapko bhi hongi jab aap Shiv baba (Parampita Parmatma) se Yog lagaoge... itne spast anubhuti hoti ki chahkar bhi koi keh nahi sakta ki yeh Bhagwaan nahi koi aur hai...
Vo hum sabhi atmao ke parampita (father) hai. Unka naam hai - 'Shiv'
Bahari anubhav galat bhi ho sakte hai, ankho ka dhoka ho sakte hai, lekin jo atma swayam anubhav kare use kaise dhokha kahe??
Murli me jo Gyan hai - kya yeh Gyan koi manusya de sakta hai? -Swayam se pucho. Gyan se hi yeh maalum chalta hai ki Gyan dene wala koun hai, va Gyan dene ka lakshya kya hai.
Murli me Shiv baba swayam kehte hai - ki mai is Brahma ke sharir me baith kar, tum baccho ko Gyan diye, Nar se Narayan banata hu. Arthat sresth devi-devta banata hu. Yahi Gyan ka lakshya hai. Atma jab pavitra ban jaye, to pavitra duniya me janam legi. Pavitra duniya hai hi Swarg (Satyug).
Gyan Murli kya hai (What is Murli?): https://www.brahma-kumaris.com/what-is-murli
----------------------------------------
About God (Shiv baba): https://www.brahma-kumaris.com/god-the-supreme-soul-shiv-baba
Do save some time for God and self realisation daily and watch this life changing and knowledgefull videos:
Here are special gifts:
Videos gallery: https://www.brahma-kumaris.com/videos
Get Mobile Apps: https://play.google.com/store/apps/developer?id=Shiv+Baba+Brahma+Kumaris
Search anything you want on www.bkgoogle.com (BK Google, a personal search engine for BKs)
Accha
Namaste
00