Girlfriend became a Brahma Kumari and the boy emails us regarding how can I obtain my love back or can marry in accordance with Brahma Kumaris rules. Here is our answer. Both the question and its answer is in Hinglish (English type Hindi).
Original Email Received
Main govind Kumar Srivastava. Mei apni girlfriend se Bahut pyar karta hu but vo Brahamkumari ban gayi hain unko mujhe apne pass lana hain ki Humara relationship achha bana rahe aur main aapke institute ke condition ko mante hue rakhna chahta hu iska koi upay btaiye. Dhanyawaad.
Our Email Response
From: Prajapita BrahmaKumari Ishwariya Vishwa Vidhyalay
To: Govind and the BrahmaKumari
Yeh email dhyaan se ekaant me padhe aur phir apne BrahmaKumari friend ko 'forward' kare. Kehna ''madhuban'' se aaya hai.
Ek hi tarika hai ab saath nibhane ka - aap bhi Brahma Kumar ban jao - vo aapki friend reh sakti hai - lekin Jeevan saathi nahi. Unhone ParamAtma ko apna jeevan ka saathi banaya hai - isse unka jeevan shresth ban jayega.. yeh aap bhi jaante ho.
Ab aap agar unse saccha prem karte ho, to unka bhala ho raha hai usme unka ''saath dena chahiye''. Jaha tak ho sake, unko apna raasta lene do. Pyaar me ''balidaan'' arthat ''sacrifice'' bhi karna pade. ParamAtma bhi pyaar ka sandesh dete hai - lekin yeh pyaar sharirik (bodily) nahi, lekin atmic (atma se atma ka) pyaar hai. Swayam hum sabhi aatma hai aur ParamAtma humare Pita (father) hue. Unse hum avinashi Satya Gyan ki prapti kar rahe hai. Unse Yog lagana arthat unko Yaad karna - yeh ''RajYog'' hai. Learn more -> What is Raja Yog?
Aur yaha ''Prajapita BrahmaKumari Ishwariy Vidhyalay'' me to swayam Parampita ParamAtma hume Gyan sunate hai - prajapita Brahma dwara. Refer: What is Murli
Is bare me jyada jano apni friend se. Unse pucho unhone kya paya hai? Kya mila hai jo apna jeevan isme lagane ka nirnay kiya.. unko support karna chahiye. Aapne bhi Bhakti ki hongi.. to kya Bhagwan ko jaana nahi chahoge? Agar jaana chahte ho, to yaha humari website dwara sab jaankari milegi...
About Us -> https://www.brahma-kumaris.com/about-us (Introduction)
Yeh Sandesh apni friend ko bhi dikhana. Jaroor. Kehna madhuban se aaya hai.
namaste
On Godly World Service
madhuban
00