Hindi-English (Hinglish) me yeh question humse BK Krati (Bangalore) ne email dwara Nov 2018 me pucha tha. About: Job, family responsibility and balance in Shrimat. Humne iska vistaar se guidance ke saath yeh uttar diya hai (We responded this to her with answer and guidance)
Question received via Email
Om Shanti,
I have one question -
Main ek engineer hun aur Bangalore main job karti hun.
Kaafi samay se yeh question mujhe pareshan kar raha hai. Main karam (job) se bhandhan mukt hona chahti hu par job ki requirements / parents ki iccha essi hai ke nahi ho paati ya baba ko bahut acche se use nahi kar paati. Kya job chhodna hi ek solution hai? Kya kam paise waali job karni chahiye? Koi bhi chese jismain bahut dimaag lagta ho, solutions dhundne ho, jo bas logon se deal karne ka kaam na ho but bahut kuch karna ho, subah 10 se raat ke 8 bje tk office main rehna ho to baba ko kaise har kadam par saath rakhe, kaise apne nishchay ko aur badhe ke baba har samay job ki har requirement ko poora kar sake?
Om shanti and thank you baba and thank you.
Our Email Response with guidance
From: Shiv Baba (on behalf of Shiv baba)
To: Kumari Krati
About (subject): KarmaYog
Aapke 2 prasna hai. Hum dono javaab likh rahe hai. Dhyaan se samjho.
1. KarmaYog : Karma karte baba se buddhi ka sambandh kaise rakhe?
3 Steps:
-> Subah jaldi utho aur Shiv baba ko yaad karo.. Shaanti mann hai tabhi Yaad pakki ho jaye, to pure din bhar yaad reh payegi - Yogyukt rahogi. Kuch 20 minute ki yaad bhi pakki ho to theek rahega..
-> Koi bhi kam karne se pehle ek do second bhi baba ko yaad karo . Baat karo - ''Baba me yeh kaam karne ja rahi hu.. mujhe sahyog dena..''
-> 5 swaroop ka abhas karo. Kaise? Yeh article read karna hai: http://bit.ly/FiveSwaroop
All 3 steps follow karke anubhav me lao - 5 swaroop ka article bhi helpful hai.
2. Baba se madad kaise le?
Answer:
Jo atma Yogyukt sthiti me hai, vo automatic baba se madad le rahi hai. 1 kadam ka Purusharth karna hai. Phir Shiv baba 100 kadam tak sahyog dete hai.. Samjha? Yogyukt arthat: http://bit.ly/YogyuktAvyakt (Murli video clip)
------ Part 2 -------
Job koi bhi ho. Baba ne kaha hai koi bhi karma karo. Parivar ko bhi to sambhalna hi hai. Usme Baba jaroor bahut sahyog dete hai. Aapko anubhav karna hai. Jaise pehle kaha (3 steps) follow karo.. Plus ki samay nikaal Murli jaroor sunni hai. Kyuki Gyaan buddhi me hai, to connection (yog) bhi easy hai.
Dusri baat - KarmaYog ki vidhi hai - Soul Consciousness - Apne ko atma dekho - dusro ko atma dekhna. Yeh abhyas karo - pakka karo - daily karo.
Me atma jyoti mastak me chamak rahi hu.. shanti ki kirane.. Aise hi jab kisi se baat karte samay thodi der ke liye hi sahi - 5 second hi sahi - yeh Abhyaas kario.. saruvaat to karo . Dheere dheere Soul consciousness natural ho jayegi ..(Source: http://bit.ly/YogyuktAvyakt )
BK Articles: http://bit.ly/BkArticles
Revelations: https://www.brahma-kumaris.com/revelations
Save all provided links on this email - use when needed.
Accha
namaste
In Godly World Service
00